Chandrama

aasman mein woh aise chhaya
saara andhiyara usne bheetar samaya
har disha mein apna rang barsaya
vyakul shrushti ko khamosh tehraya

uske aate samundar ne utpat machaya
har tarang ne apna tarana sunaya
kuch leheron ne fariyad ki
toh kisine apna kalesh jataya
kuch maujen khushi se lehrayi
kisine prem ka geet gaya
nishchhal ho woh fir bhi muskuraya
vyakul mann ko khamosh tehraya

jab subah ke tej ne usse chhupaya
khudko moond kar savera laya
umeed ki roshni se sabko jagaya
jaate hue laut aane ka yakeen dilaya

samay aadhar woh har raat aaya
apna usne vaada nibhaya
beparvah ho woh rozana muskuraya
vyakul jeevan ko khamosh tehraya

santwani.roma

Tell me what you think!

Back to top

Discover more from Roma Santwani Blog

Subscribe now to keep reading and get access to the full archive.

Continue reading